Friday, March 14, 2014

Optimist

main ek rahi hoon
mujhe door bahut hai jana
aanjani ankahe manjalian
hai un sabko mujhe pana

main ek sailab hoon
mujhko hai bas behte jana
tod kar har parvat pathar
nit naye raste banana

main dil ki awaaj hoon
mujhe hai man manthan karna
paat kar nafrat ki khai
prem ka mandir banana

main samadar ki lehar hoon
mujhe hai gahrai se uthna
nikal kar moti madik
jagat ko saundhrya badhana

main surya ki nav kiran hoon
muje hai andhere ko mitana
cheer kar kali raat ko
nit naya savera lana

main mera aaj hoon
mujhe hai bhavisya ko sajana
jo kal hua so hua
aage behter viswa banana

No comments:

Post a Comment